Duniya k Aay Musafir!
Tay kar raha hay jo tu do din ka yeh safr hay
Duniya bani hay jab say lakhon karoron aay
Baqi raha na koi, mitti main sab samaaye
Is baat ko na bhulo, sab ka yahi hashr hai
Ankhoon say tu nay apnay kitnay janaazay dekhay
Haathoon say tu nay apnay dafnaaye kitnay murday
Anjaam se tu apnay kyun itna bay khabar hay
Makhmal pay sonay walay mitti main so rahay hain
Shaahoon, gadaa barabaar, ek saath so rahay hain
Dono howay barabaar, yeh maut ka athar hay
Yeh aali shan banglay kuch kaam k nahi hain
Yeh unchi unchi building kuch kaam ki nahi hay
Do guz zameen ka tykra chota sa tera gher hay
Mitti k putlay tujh ko mitti main hay samaana
Aik din he tu k aaya, aik din he tujh ko jana
Rehna nahi hay tujh ko, jaari tera safr hay
Duniya k aay musafir manzil teri qabr hay
Tay ker raha hay jo tu do din ka yeh safr hay